Wednesday, April 30, 2008

Zindagi ki naav

Har mod zindgi ka hamesha gam kiu le aata hai
kuch khushnuma pal beetne k baad dukh kiu aata hai
hamesha hum khushi ko apne andar samet kar rakhna chate hai
par ye khushi hai ki hamesha humse bhaag jaati hai
kuch aisa karne ka mann hai ki khushi ko baandh ke rakh le
hamesha hamesha k liye
par aisa to kisi ke bas me hota hi nhi
waqt kisi ki sunta hi nhi
chahte to hai ki waqt ek pal me taher jaye
par wo lehro ki tarah gayab ho jaata hai
bas in lehro par h ye zindagi ki naav chalti rhti hai
jaane kitne gam kitni khushiyan aatii jaati rhti hai
lekin ham bhi ajeeb hai
jab khushi milti hai to saare mann se usse apnate hai
par jab gam milta hai usse door bhagna chahte hai
insan itna nadan kiu hota hai
gam milne par chhote bachhe jaisa rota hai
najane kiu?
najane kiu?

No comments:

Post a Comment